Friday, March 16, 2012

health is wealth {dedicated to my wife}

'Pehla sukh nirogi kaya' ,mainey sirf suna hi tha.
par jub yah khud par thee beetee ,socha dhyaan kahan par tha.
meri patni chaar mahiney, aspatal mai rah ayee.
khoon baha kuch, bahut nikala, saree gat karwaa ayee.
dard mila sugaat wahaa sey ,khoob dawaye bandhwa di.
mei unki sewa may khoya, sirf unhi ki parwah ki.
sabhi doctor baney dewata ,mujhpar yeh upkar kiya
jaan bach dee ,os bibi ki,jiskay bin mai nahi raha.
huay operation do(2) unkey,ab halat kuch sudhari hai.
sabhi sukee ho, aur nirogi, yahee prabhu sey vinati hai.
thank you -BHAGWAN
thank you -doctors and all the staff of hospital.(AH R&R hospital)
-------uday bhan kanpuriya.

Wednesday, January 18, 2012

tata(preeti gupta 17886)

hum sab apno se milte hai
dil se aur bina dil ke
jabki humko milna chaiye
khul kar aur jara khilke
apni najaro se hum unko
chup chup kar dekha karte
isee trha vo bhi humko bhi
najro se seka karte.....
jab tak alfajo ki doli
unke duwar nahi jati
hum milte hai aur bichudte
bus tata tata karte.......

preet gupta ki kavita (lucknow)

Monday, January 16, 2012

meri mata

mummi meri sabsey nyari
mujhpar laad dikhati hai
mere bibi bachcho ko bhi
sir ankhoo baithati hai
maa meri ab budhi(old) ho gai
tabiyat theek nahee rahti.
papa mere bane doctor
saray kasht(pain) unhei kahti.
mai unka nalayak beta
sewa unki na kar paaun
bus bibi ko dekha karta
maa ke sukh dukh sun na paaun.
iss par bhi maa rooj suberey
hum sab ko daytee asheesh.
maa humko hardam sukh daytee
aur hum daytey hai unko tees.--
uday bhan kanpuriya

riksa wala

bachpan mai riksa par baithy
jaya kartey they school
mummi sang ghoomney jatey
sare gum jatey they bhool.
kaee sahar se riksa gayab
riksa waley huay nadarat,
khulee hawa ka maja lootney
kaisey jaye, karen sararat.
kuch din mai itihaas banega
riksey ka sadako par chalna.
kyo janta riksa se jaye
jab sasta ho auto karna.--
uday bhan kanpuriya(uday bhan gupta)

Saturday, January 14, 2012

motapa

lalo lal gulgulay jaisay,
gal tumaharey pyarey hai.
tarboja si tond tumhari
kitni lagti nyari hai.
sabhi mithai unko bhati
bargar pizza khatey hai
chipki chipki pant pahankar
shopping karney jatey hai.
noukar chakar inkey ghar mai
jhadu poncha kartey hai
kh kar, so kar,car chalakar
office jaya kartey hai.
kam karengey ghiss jayengey
inka yahee oshool hai,
mai bus thoda sa khata hoon.
mota bhai cool hai.--
uday bhan kanpuriya

Thursday, January 12, 2012

garam chai

garmi ne kaha sardi ne suna,
phir aaj pukara mujhko hai.
jab bhi khatir ki baat chali.
har ek kinara mujhpey hai.
mai hamdam hun hamrahi ka.
mai bhara piyala aayi ka.
sabki ankhon ka tara hoon.
sabke hontho ka pyara hoon.
mai chahat wali chai hoon.
mai bhee choti se gaay hoon.---
uday bhan kanpuriya

gazak

til ki gazkak aur ya sardi.
mujhako achche lagti hai.
mungfali sang laiya patti.
mujhako achche lagti hai.
thand kadake ki padati ho,
suraj ka kuch pata na ho.
usmay badi rajai andar.
mujhko garmi lagti hai.
daat kitkitatey hey hardam,
si-si, su-su, lagti hai.
sankranti ki bari aai,
mujhko achche lagti hai.---
uday bhan kanpuriya

Tuesday, January 3, 2012

RE60 vs NANO

Congratulation bajaj you have brought a beautiful product in the market. i love it mainly the mileage secondly the green effect.seeing the price rice in petrol and diesel ,people will look for greater mileage.
a day will come when every body will leave big cars and will opt small one ,which will take less place to park,and small fuel to drive.